Hindi Song Title: Tumse Milke
Hindi Movie/Album Name:
NAAM GUM JAYEGA Singer(s): SADHNA SARGAM, SURESH WADKAR
Hindi Lyrics:
Tumse milke mujhe aisa lagta hai kyon
Tumse milke mujhe aisa lagta hai kyon
Meri jaan bhi nahin tum, anjaan bhi nahin tum
Tumse milke mujhe aisa lagta hai kyon
Mujhse door bhi nahin tum, mere paas bhi nahin tum
Tumse milke julti ek tasveer to hai mere seene mein
Pyaar mein jiske dooba dil ek heer to hai mere seene mein
Seene mein tere koyi aur nahin bas meri hai tasveer
Chaahat ki nazar se dekh zara bas main hoon teri heer
Baar baar yeh khayal dil mein uth tha hai kyon
Meri jaan bhi nahin tum, anjaan bhi nahin tum
Tum shayed bhoole ho woh kasmein woh waadein jo rahe apne
Dekho meri in aankhon mein ab tak jawaan woh mere sapnein
Sapnon ki is duniya se mujhe ab lagne laga hai darr
Main kaise bataoon aaj tujhe kya chot hai is dil par
Sochke bas yehi dil yeh darta hai kyon
Mujhse door bhi nahin tum, mere paas bhi nahin tum
Tumse milke mujhe aisa lagta hai kyon
Meri jaan bhi nahin tum, anjaan bhi nahin tum
Hindi Song Title: Tumse milke aisa laga
Hindi Movie/Album Name:
PARINDA Singer(s): SURESH WADKAR AND ASHA BHOSLE
Hindi Lyrics:
--MALE--
(Tumse milke aisa laga
Tumse milke armaan hue poore dil ke) - 2
Ae meri jaane wafa
Teri meri meri teri ek jaan hai
Saath tere rahenge sada, tumse na honge judaa
Tumse milke aisa laga
Tumse milke armaan hue poore dil ke
Mere sanam, teri kasam chhodenge ab na yeh haath
Yeh zindagi
--FEMALE--
La la la
--MALE--
Guzregi ab
--FEMALE--
La la la
--MALE--
Hamdam tumhaare hi saath
Apna yeh vaada raha, tumse na honge judaa
--FEMALE--
Tumse milke aisa laga
Tumse milke armaan hue poore dil ke
Ae meri jaane wafa
Teri meri meri teri ek jaan hai
Saath tere rahenge sada, tumse na honge judaa
Tumse milke aisa laga
Tumse milke armaan hue poore dil ke
Aah aah aah aah
--MALE--
Maine kiya
--FEMALE--
La la la
--MALE--
Hai raat din
--FEMALE--
La la la
--MALE--
Bas tera hi intezaar
--FEMALE--
Tere bina aata nahin ek pal mujhe ab qaraar
--BOTH--
Hamdam mera mil gaya, ab hum na honge judaa - 2
--MALE--
Tumse milke
--FEMALE--
Tumse milke aisa laga
Tumse milke
--BOTH--
Armaan hue poore dil ke
Ae meri jaane wafa
Teri meri meri teri ek jaan hai
Saath tere rahenge sada, ab hum na honge judaa
La la la la, la la la la la la la la
La la la la la la la la
Hindi Song Title: Tumse milke dil ka jo haal
Hindi Movie/Album Name:
MAIN HOON NA Singer(s): SONU NIGAM, AFTAB SABRI, HASHIM SABRI
Hindi Lyrics:
Aftab & Hashim:
Ishq jaise hai ik aandhi, ishq hai ik toofaan
Ishq ke aage bebas hai, duniya mein har ilzaam
Ishq mein sab diwaane hain, ishq mein sab hairaan
Ishq mein sab kuch mushkil hai, ishq mein sab aasaan
Dekho pyaare, ye nazaare, ye diwaane, ye parwaane
Ye ishq mein kaise gum
Sonu:
Haay! Tumse milke dil ka hai jo haal kya kahen
Ho gaya hai kaisa ye kamaal kya kahen
Tumse milke dil ka hai jo haal kya kahen
Ho gaya hai kaisa ye kamaal kya kahen
Chorus:
(Dhum tara, dhum tara, dhum tara, dhum tara
Dhum tara dhum tara dhum-ma
Dhum tara, dhum tara, dhum tara, dhum tara
Dhum tara dhum tara hum) -2
Sonu:
Dil toh ik raahi jaana, dil ki tum manzil ho
Dil toh hai ik kashti jaana, jiska tum saahil ho
Dil na phir kuch maange jaana, tum agar haasil ho
Dil toh hai mera tanha jaana, aao toh mehfil ho
Aftab & Hashim:
Ishq se hi saari khushiyaan, ishq hi barbaadi
Ishq hai paabandi lekin, ishq hi azaadi
Ishq ki duniya mein yaaron, khwaab ki aabaadi
Ho gaya woh jisko manzil, ishq ye dikhlaadi
Dekho pyaare, ye nazaare, ye diwaane, ye parwaane
Ye ishq mein kaise gum
Sonu:
Haay! Tumse milke dil ka hai jo haal kya kahen
Ho gaya hai kaisa ye kamaal kya kahen
Tumse milke dil ka hai jo haal kya kahen
Ho gaya hai kaisa ye kamaal kya kahen
Chorus:
Dhum tara, dhum tara, dhum tara, dhum tara
Dhum tara dhum tara dhum-ma
Dhum tara, dhum tara, dhum tara, dhum tara
Dhum tara dhum tara hum
Sonu:
Tumko puja hai, tumhaari hi ibaadat kee hai
Hamne jab kee hai, toh phir aise mohabbat kee hai -2
Dil mera paagal hai jaana, isko tum behlaado
Dil mein kyun halchal hai jaana, mujhko tum samjhaado
Dil ka jo aanchal hai jaana, isko tum lehraado
Zulf jo baadal hai jaana, mujhpe tum barsaado
Jaana leke jaaya hai, tera ye diwaana
Jaan tujhpe mit jaayega, tera ye parwaana
Jaana mere dil mein kya hai, tumne ye na jaana
Jaana tujhko yaad aayega, mera ye afsaana
Aftab & Hashim:
Dekho pyaare, ye nazaare, ye diwaane, ye parwaane
Ye ishq mein kaise gum
Sonu:
Haay! Tumse milke dil ka hai jo haal kya kahen
Ho gaya hai kaisa ye kamaal kya kahen
Tumse milke dil ka hai jo haal kya kahen
Ho gaya hai kaisa ye kamaal kya kahen
Chorus:
(Dhum tara, dhum tara, dhum tara, dhum tara
Dhum tara dhum tara dhum-ma
Dhum tara, dhum tara, dhum tara, dhum tara
Dhum tara dhum tara hum) -2
download hindi
song, download free hindi song, download free
hindi mp3 song, download free hindi song, download
mp3 hindi song, download hindi song, download
song hindi, download hindi free mp3 song, download
hindi music song, download free hindi mp3 song,
download hindi karaoke song, download hindi
mp3 song, hindi lyrics song, hindi lyrics, film
hindi lyrics song, hindi lyrics old song, hindi
lyrics music, hindi lyrics movie song, free
hindi lyrics remix, film hindi lyrics, hindi
lyrics pop, english hindi lyrics song, hindi
lyrics new song